Monday, 24 April 2017

Koshisho'n Ke Naam..

Wo lamhe wo baatein,
Wo dhoondhli si yaadein,
Wo vasl ke qisse, wo lafzo'n ke jaam,
Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..

Bebasi ka wo aalam,
Sunehri wo shaam,
Wo ishq ke manzar,
Wo chahtein naqaam,

       Mulaqaatein jo saari fizool ho gayi'n,
       Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..


Bepanah wo mohabbat,
Intehai jazbaat,
Lage jo kabhi the,
Saari qaaynaat,

       Toh kya jo wo saare fanaa ho gaye,
       Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..


Wo vasl ki chahat,
Wo dil beqaraar,
Wo baaton ki baatein,
Wo raatein bedaar,

       Rahi na hamesha to qisse toh hain,
       Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..


~Khan