Monday, 24 April 2017

Koshisho'n Ke Naam..

Wo lamhe wo baatein,
Wo dhoondhli si yaadein,
Wo vasl ke qisse, wo lafzo'n ke jaam,
Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..

Bebasi ka wo aalam,
Sunehri wo shaam,
Wo ishq ke manzar,
Wo chahtein naqaam,

       Mulaqaatein jo saari fizool ho gayi'n,
       Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..


Bepanah wo mohabbat,
Intehai jazbaat,
Lage jo kabhi the,
Saari qaaynaat,

       Toh kya jo wo saare fanaa ho gaye,
       Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..


Wo vasl ki chahat,
Wo dil beqaraar,
Wo baaton ki baatein,
Wo raatein bedaar,

       Rahi na hamesha to qisse toh hain,
       Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..


~Khan

6 comments:

  1. 👌..I thoroughly loved it..😀

    ReplyDelete
  2. Bebasi ka wo aalam,
    Sunehri wo shaam,
    Wo ishq ke manzar,
    Wo chahtein naqaam

    Waah bhai... bahut khoob. Main janta hoon ko shayar apne jazbaat likhte hain. Aapke is jazbaat ko padh kar aisa lag raha ke is muskuraate chehre ke peeche ek dard-o-gham ka ek dariya rawan hai. Aap hi ke liye Faiz ahmed Faiz sahab ne kaha :

    Dil na-ummeed to nahi, na-kaam hi ho hai
    Lambi hai gham ki shaam, magar shaam hi to hai

    Keep writing bhai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sabhi ki apni kahani hai janab.. lekin ye fakat ek kahani hai

      Bas inshallah koshish jari rahegi. Aapki taarif ka qadrdaan.

      Delete