Wo lamhe wo baatein,
Wo dhoondhli si yaadein,
Wo vasl ke qisse, wo lafzo'n ke jaam,
Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..
Bebasi ka wo aalam,
Bebasi ka wo aalam,
Sunehri wo shaam,
Wo ishq ke manzar,
Wo chahtein naqaam,
Mulaqaatein jo saari fizool ho gayi'n,
Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..
Bepanah wo mohabbat,
Bepanah wo mohabbat,
Intehai jazbaat,
Lage jo kabhi the,
Saari qaaynaat,
Toh kya jo wo saare fanaa ho gaye,
Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..
Wo vasl ki chahat,
Wo vasl ki chahat,
Wo dil beqaraar,
Wo baaton ki baatein,
Wo raatein bedaar,
Rahi na hamesha to qisse toh hain,
Chalo kar dein wo sab, Koshisho'n ke naam..
~Khan
~Khan
Nice :)
ReplyDeleteThank you :)
Delete👌..I thoroughly loved it..😀
ReplyDeleteI am glad you did :)
DeleteBebasi ka wo aalam,
ReplyDeleteSunehri wo shaam,
Wo ishq ke manzar,
Wo chahtein naqaam
Waah bhai... bahut khoob. Main janta hoon ko shayar apne jazbaat likhte hain. Aapke is jazbaat ko padh kar aisa lag raha ke is muskuraate chehre ke peeche ek dard-o-gham ka ek dariya rawan hai. Aap hi ke liye Faiz ahmed Faiz sahab ne kaha :
Dil na-ummeed to nahi, na-kaam hi ho hai
Lambi hai gham ki shaam, magar shaam hi to hai
Keep writing bhai.
Sabhi ki apni kahani hai janab.. lekin ye fakat ek kahani hai
DeleteBas inshallah koshish jari rahegi. Aapki taarif ka qadrdaan.